mir-e-sipah na-saza lashkariyan shikasta saf aah wo tir-e-nim-kash jis ka na ho koi hadaf tere muhit mein kahin gauhar-e-zindagi nahin dhund chuka main mauj mauj dekh chuka sadaf sadaf ishq-e-butan se hath utha apni khudi mein dub ja naqsh o nigar-e-dair mein khun-e-jigar na kar talaf khol ke kya bayan karun sirr-e-maqam-e-marg o ishq ishq hai marg-e-ba-sharaf marg hayat-e-be-sharaf sohbat-e-pir-e-rum se mujh pe hua ye raaz fash lakh hakim sar-ba-jeb ek kalim sar-ba-kaf misl-e-kalim ho agar marka aazma koi ab bhi darakht-e-tur se aati hai bang-e-la-takhaf khira na kar saka mujhe jalwa-e-danish-e-farang surma hai meri aankh ka khak-e-madina-o-najaf