hum rahen ya na rahen par kuchh gila rah jaega ek aashiq dekhta sa mubtala rah jaega main khada rah jaunga bas aastan par sochta phul bhi gul-dan mein hi bas khila rah jaega dar-ba-dar ho kar yahan se jab chala jaunga main tab mujhe phir khojta sa ye jahan rah jaega bas nadi ke pas tak hi log le kar aaenge is nadi ke ghat par hi qafila rah jaega zikr bhi hoga nahin tere fasane mein tera is fasane se nikal kar tu nihan rah jaega