hath kyunkar mila nahin paya jabki socha tha ja nahin paya der tak main khada raha dar par tum ne socha ki aa nahin paya rahguzar mein to sath hai jaise tujh ko aakhir kahan nahin paya main ne tum ko to pa liya lekin main ne ab tak khuda nahin paya bahut paya bhi to zamane mein kuchh bhi tere siwa nahin paya main ne socha ki sab bataunga par mila to bata nahin paya khub chaha ki aazmaun bhi par kabhi aazma nahin paya tirgi sath hi rahi har dam shama koi jala nahin paya ek hi bhul thi magar ab tak kis ne kis ne saza nahin paya ho gaya hun juda bhale tum se tum ko khud se juda nahin paya