hum riwayat ke sanche mein Dhalte bhi hain

hum riwayat ke sanche mein dhalte bhi hain
aur tarz-e-kuhan ko badalte bhi hain

jada-e-am par bhi hai apni nazar
jada-e-am se bach ke chalte bhi hain

rahibana qanaat ke khugar sahi
walihana kabhi hum machalte bhi hain

daman-e-nashsha dete nahin hat se
rind girte bhi hain aur sambhalte bhi hain

yun to ikhfa-e-gham ka namuna hain hum
dusron ke liye hat malte bhi hain

kuchh ye hai maslahat-kesh hum bhi nahin
kuchh ye ahl-e-riya hum se jalte bhi hain

naz kya is qadar aarzi husn par
shahryaron ke sikke badalte bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close