aankh mein Thahra hua sapna bikhar bhi jaega

aankh mein thahra hua sapna bikhar bhi jaega
raat-bhar mein nind ka nashsha utar bhi jaega

din ki chamkili sadaon se gurezan rah-rau
sham ki sargoshiyan sun kar thahar bhi jaega

jism-o-jaan mein jalti-bujhti larzishen rah jaengi
wo mere ehsas ko chhukar guzar bhi jaega

be-talluq si karega guftugu mujh se magar
us ka lahja us ki baaton se mukar bhi jaega

wo bhi hoga aahaton ka muntazir meri tarah
aur faqat jhonka hawa ka us ke ghar bhi jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close