hum shad hon kya jab tak aazar salamat hai

hum shad hon kya jab tak aazar salamat hai
sar phod chuke phir bhi diwar salamat hai

aaya tere honton par elan-e-junun kyun kar
jab tere gareban ka har tar salamat hai

andaz dikhae hain kya shokhi-e-tiflan ne
is shahr mein ab kis ki diwar salamat hai

lutta hai to lut jae sukh-chain faqiron ka
kya fikr tujhe tera pindar salamat hai

ek sang ke hatne se khush-fahm na ho itna
mat bhul ki raste mein kohsar salamat hai

'gulzar' hamein dekho kashti ko dubo kar bhi
kis fakhr se kahte hain patwar salamat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close