hum shahr mein ek shama ki khatir hue barbaad logon ne kiya chand ke sahraon ko aabaad har samt falak-bos pahadon ki qataren 'khusraw' hai na 'shirin' hai na tesha hai na farhad barson se yahi khwab hain nindon ki sajawat gulshan hai magar gul hai na bulbul hai na sayyaad hun tair-e-be-baam charagh-e-sar-e-sahra ummid-e-karam hai na mujhe shikwa-e-bedad jis ghar ko basaya tha meri be-khabari ne aaj us ko teri khud-nigari kar gai barbaad kuchh aisa dhuan hai ki ghutti jati hain sansen is raat ke baad aaoge shayad na kabhi yaad har zarra hai madfan meri hairat-nigahi ka yarab! ye gali kuche hamesha rahen aabaad kal apni bhi taswir na pahchan sakenge is daur ko bakhshe gae wo 'mani' wo 'bahzad' sunsan hai zindan bhi bisan-e-dil-e-shaer ne shor-e-salasil hai na hangama-e-fariyaad khurshid-e-qayamat utar aae rag-e-jaan mein ai naghmagaro aisi koi tarz ho ijad 'shohrat' ki hai ab wajh-e-pareshani-e-ahbab uth jaega jis roz tu aaega bahut yaad