khushbu ki tarah aaya wo tez hawaon mein manga tha jise hum ne din raat duaon mein tum chhat pe nahin aae main ghar se nahin nikla ye chand bahut bhatka sawan ki ghataon mein is shahr mein ek ladki bilkul hai ghazal jaisi bijli si ghataon mein khushbu si adaon mein mausam ka ishaara hai khush rahne do bachchon ko masum mohabbat hai phulon ki khataon mein hum chand sitaron ki rahon ke musafir hain hum raat chamakte hain tarik khalaon mein bhagwan hi bhejenge chawal se bhari thaali mazlum parindon ki masum sabhaon mein dada bade bhole the sab se yahi kahte the kuchh zahr bhi hota hai angrezi dawaon mein