hum tah-e-dariya tilismi bastiyan ginte rahe aur sahil par machhere machhliyan ginte rahe na-tawan shanon pe aisi khamushi ka bojh tha apne us ke darmiyan bhi sidhiyan ginte rahe bazm-e-jaan se chupke chupke khwab sab rukhsat hue hum bhala karte bhi kya bas gintiyan ginte rahe bans ke jangal se ho ke jab kabhi guzri hawa ek sada-e-gumshuda ki dhajjiyan ginte rahe kis hawa ne das liya hai rang o roghan ud gae sehn-e-dil se is makan ki khidkiyan ginte rahe pahlu-e-shab kal isi chehre se raushan tha magar jaane kitne mausamon ki talkhiyan ginte rahe