baghban ki be-rukhi se nile-pile ho gae khar ki manind ab gul bhi nukile ho gae bahte dariya se sabhi sairab hain lekin mujhe sirf ek qatra mila bas hont gile ho gae mai-kashon ne bas qadam rakkha tha sehn-e-bagh mein phul-patte bel-bute sab nashile ho gae ek hi aadam se hain lekin siyasat ke nisar kis qadar firqe bane kitne qabile ho gae mere bachpan ka zamana phul ka ambar tha jaise hi bachpan gaya ambar tile ho gae ek nazar tanqid ki padne ki 'arif' der thi sher jitne the ghazal mein sab rasile ho gae