hum talkhi-e-hayat ko aasan na kar sake sahrai-zindagi ko gulistan na kar sake tha zoam jin ko apni masihai ka yahan wo bhi ilaj-e-sozish-e-pinhan na kar sake waraftagi-e-shauq mein shal ho gae badan aabid tawaf-e-kucha-e-jaanan na kar sake kuchh yun chali thi baad-e-hawadis ki ki umr-bhar qindil-e-arzu ko farozan na kar sake aalam-e-ashiqi ne kiya khud se be-khabar hum tazkira-e-sakhti-e-dauran na kar sake aisa chubha hai nashtar-e-bedad-e-arzu hum zindagi mein phir koi arman na kar sake baad-e-nasim ab ke 'muzaffar' ajib thi hum ehtimam-e-subh-e-bahaaran na kar sake