roz-e-khizan chaman mein jo dekha hazar ke ek musht par pade the tale shakh-sar ke yaran-e-ham-nashin-o-rafiqan-e-dost-dar sab aashna hain zindagi-e-mustaar ke jab mund gai ye aankh to ai dost baad-e-marg phatke hai pas kaun kisi ke mazar ke jo naqsh-e-pa rahe so rahe phir na uth sake 'waqif' ki tarah hae gire ku-e-yar ke