hum tazkira-e-lutf-o-karam karte rahenge

hum tazkira-e-lutf-o-karam karte rahenge
aasaish-e-kaunain baham karte rahenge

ye ganj-e-saadat kabhi khali hi na hoga
sab aap ke altaf raqam karte rahenge

laute jo madine se to pachhtate hain ab tak
kab tak nahin malum ye gham karte rahenge

jaenge wahin chhod ke sab rauza-e-rizwan
yasrib ko jo wo rashk-e-iram karte rahenge

dekhenge kabhi 'tahniyat' apni bhi taraf wo
ashkon se jo hum aankhon ko nam karte rahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close