muqaddas dars-gahon ki haram ki aur shiwalon ki andhere mein qasam khati hai ye duniya ujalon ki zara pahchan in majbur insanon ke chehron ko jo ghairat ke sabab jurat nahin karte sawalon ki tum apne ahd ki baaten kahin mahfuz kar lena muarrikh ko zarurat padti rahti hai hawalon ki hamari shakhsiyat par dosto pani na phir jae kami mahsus hoti hai shikayat karne walon ki sitare din mein niklenge to un ko kaun puchhega andheron ki badaulat qadr hoti hai ujalon ki