hum tere hone se logon pe ayan hote hain

hum tere hone se logon pe ayan hote hain
phul khushbu ke tawassut se bayan hote hain

in charaghon se andhera hi badha hai ghar ka
tere tohfe bhi aziyyat ka dhuan hote hain

aise afsurda tabiat hain ki hanste hue hum
kitni sadiyon ki udasi ka nishan hote hain

ishq mein zillat-o-ruswai bhi hoti hai magar
pahle is dasht mein khwabon ke jahan hote hain

hum jinhen ishq ne tanhai ka tohfa diya ho
un ke ghar-bar nahin hote makan hote hain

ahd-e-kam-zarf mein tu khwab liye phirta hai
ped aise mein samar-bar kahan hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close