hum tere husn-e-jahan-tab se dar jate hain aise muflis hain ki asbab se dar jate hain khauf aisa hai ki duniya ke satae hue log kabhi mimbar kabhi mehrab se dar jate hain raat ke pichhle pahar nind mein chalte hue log khun hote hue mahtab se dar jate hain shad rahte hain isi jama-e-uryani mein han magar atlas-o-kamkhwab se dar jate hain kabhi karte hain mubaraz-e-talabi duniya se aur kabhi khwahish-e-betab se dar jate hain ji to kahta hai ki chaliye usi kuche ki taraf hum teri bazm ke aadab se dar jate hain hum to wo hain ki jinhen ras nahin koi nagar kabhi sahil kabhi girdab se dar jate hain