lamha-dar-lamha teri rah taka karti hai ek khidki teri aamad ki dua karti hai silwaten chikhti rahti hain mere bistar ki karwaton mein hi meri raat kata karti hai waqt tham jata hai ab raat guzarti hi nahin jaane diwar-ghadi raat mein kya karti hai chand khidki mein jo aata tha nahin aata ab tirgi chaaron taraf raqs kiya karti hai mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar ek taswir purani si hansa karti hai