hum tere ishq pe maghrur na ho jaen kahin is qadar pas na aa dur na ho jaen kahin hamein aaina bana le ki ye sahir aankhen apne hi sehr se mashur na ho jaen kahin sina tabut na ban jae kisi bulbul ka khushbuen bagh ki kafur na ho jaen kahin mat hansa is qadar ai naubat-e-haalat hamein jo faqat zakhm hain nasur na ho jaen kahin dhadkanen kya hain bas ek rakh mein larzish si hai phir wahi jalwe sar-e-tur na ho jaen kahin jugnuon ko to bitha leti hai aankhon pe hawa diye darte hain ki be-nur na ho jaen kahin zarre zarre mein to wo khud hai makin warna hum chhup na jaen kahin mafrur na ho jaen kahin aazmaish mein na dal apne labon ko mat bol furqaten bhi hamein manzur na ho jaen kahin hum to aashiq hain hamara to chalo kaam sahi sajde is shahr ka dastur na ho jaen kahin aap ke ishq mein hum ho to gae aap hi aap aap ke nam se mashhur na ho jaen kahin ishq ko hazrat-e-'rahil' samajhte to hain jabr qibla-o-kaba bhi majbur na ho jaen kahin