kahin qabil-e-karam hai kahin paikar-e-sitam bhi yahi zindagi jahannam yahi zindagi iram bhi main wo harf-e-awwalin hun na mita saka zamana ki hazar mujh se uljhe ye jahan ke pech-o-kham bhi yahi farq to hai nadan tere gham mein mere gham mein tujhe doston ka gham hai mujhe dushmanon ka gham bhi na khirad hi ham-safar hai na junun hi rahbar hai ye maqam kaun sa hai yahan ruk gae qadam bhi ye ajib mai-kada hai ki guman-e-mai-kada hai yahan rind hosh mein hain yahan fikr-e-besh-o-kam bhi meri zindagi mein aisi kai manzilen bhi aain jahan kuchh na kaam aai teri pursish-e-karam bhi na mili junun mein 'maikash' mujhe fursat-e-nazara sar-e-rah yun to aae kai dair bhi haram bhi