hum the kisi ka dhyan tha wo bhi nahin raha ek rabt-e-jism-o-jaan tha wo bhi nahin raha jhagda tha mera jis se wo duniya kidhar gai ek shakhs darmiyan tha wo bhi nahin raha misl-e-charagh tirgi-e-jism-o-jaan mein dil ek shahr-e-be-nishan tha wo bhi nahin raha inten bichhi thin jis mein wo ek tang si gali us mein mera makan tha wo bhi nahin raha duniya meri nahin na sahi tum to sath ho kya kya hamein guman tha wo bhi nahin raha nuqta bani nigah se ojhal hui zamin sar par ek aasman tha wo bhi nahin raha 'mushaf' tumhaara nam yahin tha aur us pe han ek surkh sa nishan tha wo bhi nahin raha