raaz-e-hasti se aashna na hua na hua aadmi khuda na hua harf rakhta hai jo nigahon par ru-ba-ru is ke aaina na hua tu to shah-rag ke pas tha lekin tai hamin se ye fasla na hua rakh diya mujh pe farz-e-khidmat-e-khalq jab koi mujh sa dusra na hua us ki dariya-dili khuda rakkhe arz hum se hi muddaa na hua