hum tirgi mein shama jalae hue to hain hathon mein surkh jam uthae hue to hain us jaan-e-anjuman ke liye be-qarar dil aankhon mein intizar sajae hue to hain milad ho ki majlis-e-gham mubtala tere aangan mein dal ke farsh bichhae hue to hain hizb-e-haram ne shauq-e-junun ko badha diya sine se hum buton ko lagae hue to hain duniya kahan thi pas-e-wirasat ke zimn mein ek din tha so us pe lutae hue to hain kab chobdar par hon sar-afraaz dekhiye us shokh ki nigah mein aae hue to hain