kaun dekhe meri shakhon ke samar tute hue ghar se bahar raston mein hain shajar tute hue lut gaya din ka asasa aur baqi rah gae sham ki dahliz par lal o guhar tute hue yaad-e-yaran dil mein aai huk ban kar rah gai jaise ek zakhmi parinda jis ke par tute hue raat hai aur aati jati saaten aankhon mein hain jaise aaine bisat-e-khwab par tute hue aabgine pattharon par sar-nigun hote gae aur hum bach kar nikal aae magar tute hue mil gae mitti mein kya kya muntazir aankhon ke khwab kis ne dekhe hain sitare khak par tute hue wo jo dil ki mamlikat thi babari masjid hui bastiyan sunsan ghar viran dar tute hue