hum to bas ek uqda the hal hone tak zanjiron mein band the pagal hone tak ishq agar hai din to phir ho jaenge hum bhi murtad is ke mukammal hone tak main pani tha suraj ghur raha tha mujhe kya karta be-bas tha baadal hone tak ab to khair sarab si khub chamakti hai aankh thi dariya shahr ke jangal hone tak mujh mein bhi thi tez si khushbu mani ki mahak raha tha main bhi mohmal hone tak ab wo meri aankh pe iman laya hai dasht hi tha ye dil bhi jal-thal hone tak jhil kabhi talab kabhi dariya tha kabhi mere kya kya rup the daldal hone tak