hum to Darte hi rahe dasht ki virani se

hum to darte hi rahe dasht ki virani se
us ne ye hijr bhi kata badi aasani se

yun tawajjoh teri hasil hai ki hum sahra-naward
mar hi jaen na mohabbat ki farawani se

apne saudai ke haalat bhi ab dekh kabhi
kis qadar khush hai tere gham ki nigahbani se

ye rah-e-'ishq hai sanbhle to phisal jaoge
kaam lete hain yahan 'aql ka nadani se

apni khushiyon se koi khush nahin hota 'amir'
ab khushi hoti hai auron ki pareshani se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close