hum to kitnon ko mah-jabin kahte aap hain is liye nahin kahte chand hota na aasman pe agar hum kise aap sa hasin kahte aap ke panw phir kahan padte hum zamin ko agar zamin kahte aap ne auron se kaha sab kuchh hum se bhi kuchh kabhi kahin kahte aap ke baad aap hi kahiye waqt ko kaise ham-nashin kahte wo bhi wahid hai main bhi wahid hun kis sabab se hum aafrin kahte