hum to mashur the shiddat ke sabab bol uthe wo but-e-sang bhi mumkin hai ki ab bol uthe phul alfaz ke phenke hain usi ki jaanib jaane wo jaan-e-ada naz se kab bol uthe samna un ka hua jab to thi nazren nichi be-qarari mein mere dast-e-talab bol uthe qatl mera bhi hua aur shah-e-waqt ka bhi ek pe khamosh rahe ek pe sab bol uthe uth ke sahraon se maghrib ko hila de aandhi yak-zaban ho ke agar arz-e-arab bol uthe mutmain kyun hain jawan chhati pe patthar rakh kar waqt padne pe 'asar' koh ke lab bol uthe