zara si der thi bas ek diya jalana tha

zara si der thi bas ek diya jalana tha
aur is ke baad faqat aandhiyon ko aana tha

main ghar ko phunk raha tha bade yaqin ke sath
ki teri rah mein pahla qadam uthana tha

wagarna kaun uthata ye jism o jaan ke azab
ye zindagi to mohabbat ka ek bahana tha

ye kaun shakhs mujhe kirchiyon mein bant gaya
ye aaina to mera aakhiri thikana tha

pahad bhanp raha tha mere irade ko
wo is liye bhi ki tesha mujhe uthana tha

bahut sambhaal ke laya hun ek sitare tak
zamin par jo mere ishq ka zamana tha

mila to aise ki sadiyon ki aashnai ho!
taaruf us se bhi haalanki ghaebana tha

main apni khak mein rakhta hun jis ko sadiyon se
ye raushni bhi kabhi mera aastana tha

main hath hathon mein us ke na de saka tha 'shumar'
wo jis ki mutthi mein lamha bada suhana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close