hum to qusur-war hue aankh dal ke puchho ki nikle kyun the wo jauban nikal ke aankhon se khwab ka ho guzar kya majal hai pahre bitha diye hain kisi ke khayal ke dil mein wo bhid hai ki zara bhi nahin jagah aap aaiye magar koi arman nikal ke sad-shukr wasf-e-qad pe wo itna to phul uthe mazmun buland hain mere aali khayal ke lazzat yahi khatak ki jo hai rah-e-ishq mein rakh lunga dil mein panw ke kante nikal ke dil rah gaya ulajh ke nigahon ke tar mein achchha wo jaan dal gae aankh dal ke suniye to ek zara mere ashaar-e-dardnak laya hun main kaleje ke tukde nikal ke aaina hai jo un ka musahib to kya hua hum bhi kabhi the dekhne wale jamal ke likkhi hai kha ke khun-e-jigar ye ghazal 'jalil' misre nahin hain sher ke tukde hain lal ke