kyun kisi rah-rau se puchhun apni manzil ka pata

kyun kisi rah-rau se puchhun apni manzil ka pata
mauj-e-dariya khud laga leti hai sahil ka pata

hai nishan-e-laila-e-maqsud mahmil ka pata
dilruba hath aa gaya paya jahan dil ka pata

rah-e-ulfat mein samajh lo dil ko gunga rahnuma
sath hai aur de nahin sakta hai manzil ka pata

kahta hai naseh ki wapas jao aur main sada-lauh
puchhta hun khud usi se ku-e-qatil ka pata

rahbar rahzan na ban jae kahin is soch mein
chup khada hun bhul kar raste mein manzil ka pata

aai ek aawaz-e-tir aur nikli dil se uf
phir na qatil ka nishan paya na bismil ka pata

banki-chitwan wale mahshar mein hazaron hain to hon
mil hi jaega kisi surat se qatil ka pata

us jagah bismil ne dam toda jahan ki khak thi
yun lagate hain lagane wale manzil ka pata

puchhne wale ne ye puchha ki kyun be-dil ho kyun
aur mujh ko mil gaya khoe hue dil ka pata

maujen takrai huin dushman bhi niklin dost bhi
pichhe kashti ko dhakela de ke sahil ka pata

rah gaya hai tut kar zakhm-e-jigar mein tir-e-naz
ab laga lena nahin dushwar qatil ka pata

sokhta parwane kushta shama farsh-e-daghdar
de rahe hain raat ki garmi-e-mahfil ka pata

main wafa-kesh 'arzu' aur wo wafa-na-ashna
pad gaya mushkil mein pa kar apni mushkil ka pata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close