hum to utthenge usi rah pe chalne ke liye waqt lagta hai magar kar ke sanbhalne ke liye saz bechain hai har dard ugalne ke liye naghme be-tab hain taron se nikalne ke liye koi unchai pe rahta nahin duniya mein sada roz suraj bhi nikalta hai to dhalne ke liye kuchh na kuchh kijiye hujron se nikal kar apne waizo qaum ki qismat ko badalne ke liye har taraf aag hai nafrat ki watan mein phaili sirf hum log hain is aag mein jalne ke liye hum jahan rahte hain us shahr ki tarif suno har musibat yahan aati hai na talne ke liye apna mahaul bhi badla nahin apne hathon hum to nikle the zamane ko badalne ke liye ek muzi hi nahin hum ko nigalne wala us ke azhdar bhi to hain hum ko nigalne ke liye phul khilte hi gulistan mein achanak ai 'ziya' hath badhte hain faqat un ko masalne ke liye