hum bhi diwane tum bhi diwane dekh rahe hain khwab suhane jangal jangal sahra sahra hum bhi gae the khak udane shab bhar jaane nind kahan thi subh ko aai rasm nibhane ek shair ki maut hui hai kis ko bulaen nash uthane daman par kuchh dagh lage phir nikle jo ek dagh mitane shahr mein kis ko apna kahen hum dard hamara koi na jaane aaj 'ziya' phir yaad wo aae risne lage hain zakhm purane