hum to yun uljhe ki bhule aap hi apna khayal han koi hota bhi hoga bhulne wala khayal ek patthar ki tarah se dubta jata hai dil ho raha hai aur gahra aur bhi gahra khayal aab-e-hairan par kisi ka aks jaise jam gaya aankh mein bas ek lamhe ke liye thahra khayal phir to kab apne rahe kab kar-e-duniya ke rahe jab se hum par chha gaya is jaan-e-duniya ka khayal naqsh-e-hairat ho gai phir apni hairani pe chashm zindagi aaina thi aur aaina-khana khayal sham gahri ho ke phir utri phir is dil ko laga ek khayal aisa khayal aisa khayal aisa khayal