hum turbat-e-bosida se murdar nikalen auron ki zaminon se jo ashaar nikalen pit jata hai padhte hi sar-e-bazm wo shahkar aap apne tain jaisa bhi shahkar nikalen jaan-kawi hai ye kaam nahin aap ke bas ka ashaar nahin sham ka akhbar nikalen khul jaega sara hi bharam khush-sukhani ka mahfil se zara hashiya-bardar nikalen alfaz ke nashtar ne jigar chir diya hai behtar hai zaban rok ke talwar nikalen