bahut hi saf-o-shaffaf aa gaya taqdir se kaghaz tumhaare waste laya hun main kashmir se kaghaz hua hai abru-e-jaanan se dil-e-betab sad-para muqabil ho nahin sakta dam-e-shamshir se kaghaz agar lohe ke gumbad mein rakhenge aqraba un ko wahin pahunchaega aashiq kisi tadbir se kaghaz meri qismat likhi jati thi jis din main agar hota uda hi leta dast-e-katib-e-taqdir se kaghaz bhala sada waraq par likhta kya rangin-mizajon ko munaqqash kar liya tha pahle hi taqdir se kaghaz kuchh us khushbu ki had bhi hai moattar ho gaya bilkul mere hathon mein wasf-e-gesu-e-shabgir se kaghaz adu ka khat hai ya tawiz hai jo yun hai sine par ye kyun rakkha gaya hai izzat-o-tauqir se kaghaz khat-e-taqdir se behtar main samjhun is ko duniya mein tu likhwa lae gar qasid but-e-be-pir se kaghaz bata zalim mere qasid ne tera kya bigada tha jo le kar phad dala dast-e-be-taqsir se kaghaz mere hath aa gaya 'parwin' adu ke nam ka khat tha gira tha rah mein jo dast-e-but-e-be-pir se kaghaz