hum ujale tere galiyon ke jidhar jate hain sune sune se dar-o-baam sanwar jate hain lakh hansta hai khada rahon mein aankhon ka hujum tere wahshi hain ki chup-chap guzar jate hain koi kis dil se sajae hamein aankhon mein bhala hum wo sapne hain jo lamhon mein bikhar jate hain ek nae khwab ki hasrat mein na puchh ai hamdam aankhon aankhon mein shab-o-roz guzar jate hain hum musafir hain rah-e-zist mein chalte chalte koi bhi hum ko pukare to thahar jate hain raushni nam ki har shai se mohabbat thi kabhi ab to har subh-e-ziya-bar se dar jate hain hum ki sahra-e-mohabbat mein dam-e-khamoshi kitni aawazon ke sae se guzar jate hain hum hirasan to nahin gardish-e-dauran se magar aap ki shokhi-e-raftar se dar jate hain mahwashon ko na dikha aaina-e-gham 'nazim' ye wo chehre hain ki pal bhar mein utar jate hain