jis sukut-e-mustaqil par tujh ko itna naz hai be-khabar wo bhi to ruswai ka ek andaz hai aap ise harf-e-junun samjhen ki harf-e-agahi ye bahar-surat shuur-e-dard ki aawaz hai kitne zakhmon ka bharam ek be-zabani ki ada kitni aawazon ka parda ek sukut-e-naz hai lab hi lab ki bhid hai mai-khana-e-hasti mein aaj tishnagi hi tishnagi ab waqt ki aawaz hai tum ko hota hai jo kanton par bhi phulon ka guman wo bhi shaista-nigahi ka meri eajaz hai kya khabar kab chhin le mujh se tere gham ki asas in dinon kuchh jarehana waqt ka andaz hai is tarah lipti hai dil se teri yaadon ki lakir jaise ye bhi raushni-e-zindagi ka raaz hai jis ne diwana bana rakkha hai sare shahr ko wo takallum ka tere sanbhla hua andaz hai ban pade ai 'nazim'-e-mahzun to chal us ke huzur shahr mein bas ek wahi isa-nafas dam-saz hai