hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe jo gumrahi ke safar ka iada karte rahe kai sawab to nisyan mein ho gae hum se gunah kitne hi hum be-irada karte rahe na sirf ahl-e-khirad hi ka hum pe ehsan hai ki ahmaqon se bhi hum istifada karte rahe kuchh is saliqe se guzri hai zindagi apni har ek tir pe hum dil kushada karte rahe mere giroh ka rishta hai us qabile se jo zindagi ka safar pa-piyaada karte rahe hua hai aisa ki farigh iradatan bhi kabhi hum apni rah mein kante ziyaada karte rahe