ghar basa kar bhi musafir ke musafir thahre log darwazon se nikle ki muhajir thahre dil ke madfan pe nahin koi bhi rone wala apni dargah ke hum khud hi mujawir thahre is bayaban ki nigahon mein murawwat na rahi kaun jaane ki koi shart-e-safar phir thahre pattiyan tut ke patthar ki tarah lagti hain un darakhton ke tale kaun musafir thahre khushk patte ki tarah jism uda jata hai kya padi hai jo ye aandhi meri khatir thahre shakh-e-gul chhod ke diwar pe aa baithe hain wo parinde jo andheron ke musafir thahre apni barbaadi ki taswir utarun kaise chand lamhon ke liye bhi na manazir thahre tishnagi kab ke gunahon ki saza hai 'qaisar' wo kuan sukh gaya jis pe musafir thahre