hum un ke samne is tarah sharh-e-gham bayan kar len hamari dastan ko khud wo apni dastan kar len ilahi aur bhi kuchh tul kar de roz-e-mahshar ko ki tere ru-ba-ru khatm apne gham ki dastan kar len wo binai ata kar hum ko ya-rab dair-o-kaba kya tere jalwe ka nazzara jahan chahen wahan kar len khizan aane to do puchhenge hum un se mizaj un ka gul-o-ghunche chaman mein aur do din shokhiyan kar len shab-e-gham gham ke palon ko hai hasil kya ba-juz is ke tadap len aah-o-girya kar len fariyaad-o-fughan kar len wo din aae kahin zauq-e-jabin-sai mein ai 'sabir' ho zauq aisa ki jis mein jazb un ka aastan kar len