jo dil ki rah mohabbat mein yawari ho jae janab-e-khizr ki malum rahbari ho jae udhar jo zulfon se mauquf dilbari ho jae idhar bala se musibat se dil bari ho jae meri zaban jo waqf-e-fusun-gari ho jae to band shisha-e-dil mein har ek pari ho jae musibaton se mera dil agar bari ho jae to us ke sath hi meri bhi behtari ho jae raqam jo wasf-e-rukh-e-raushan ai pari ho jae kalam apna bhi diwan-e-anwari ho jae agar khafa tu raqibon se ai pari ho jae to un ke hosh uden aur abtari ho jae idhar bhi tirchhi nazar se to dekh ai zalim idhar bhi koi ada-e-sitamgari ho jae wo bahr-e-husn agar aab-e-lutf se sinche to kisht-e-arzu phule phale hari ho jae hamare dil mein jab aae wo aaina-paikar hamari aarzu sadd-e-sikandari ho jae main sakht-jaan hun na kar qatl mujh ko ai qatil ki badh tegh ki teri na dardari ho jae gaya main is liye le kar payam-e-wasl-e-adu ki un ki did ka bais payambari ho jae wo mehr-e-husn jo aa jae baam par apne to zarra zarra bhi khurshid-e-khawari ho jae khuda ke waste dekho na dekho aaina koi zarur hai is mein na hamsari ho jae kabhi main dasht se bahar qadam nahin rakkhun junun ke hathon agar pairahan zari ho jae chaman ko naz urusan-e-bagh par hai bahut khuda kare kahin us gul se hamsari ho jae rahe har ek se 'sabir' juda mazaq-e-sukhan sukhan-waron se nirali sukhanwari ho jae