hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain

hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
aur wo hain ki is par bhi bura man rahe hain

ye lutf to dekho ki wo mahfil mein meri samt
nigran hain ki jaise mujhe pahchan rahe hain

hum ko bhi to waiz hai bad o nek mein tamiz
hum bhi to kabhi sahib-e-iman rahe hain

mumkin hai ki ek roz teri zulf bhi chhu len
wo hath jo masruf-e-gareban rahe hain

ye sach hai ki bande ko khuda dahr mein yun to
mana nahin jata hai magar man rahe hain

wo aae hain is taur se khalwat mein mere pas
jaise ki na aane pe pasheman rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close