taskin-e-dil ko ashk-e-alam kya bahaun main jo aag khud lagai hai kyun-kar bujhaun main barbaad kar chuke wo main barbaad ho chuka ab kya raha hai roun aur un ko rulaun main lachuk, nasim-e-subh, payam-e-visal-e-dost kab tak misal-e-shama rag-e-jaan jalaun main ai ishq kya yahi hai makafat-e-arzu apni hi khak hath se apne udaun main roya yunhi jo hijr mein shab bhar to kya ajab tare ki tarah waqt-e-sahar dub jaun main