hum un ko chhin kar lae hain kitne dawedaron se shafaq se chandni-raaton se phulon se sitaron se hamare zakhm-e-dil dagh-e-jigar kuchh milte-julte hain gulon se gul-rukhon se mahwashon se mah-paron se zamane mein kabhi bhi qismaten badla nahin kartin umidon se bharoson se dilason se sahaaron se sune koi to ab bhi raushni aawaz deti hai guphaon se pahadon se bayabanon se ghaaron se barabar ek pyasi ruh ki aawaz aati hai kuon se pan-ghaton se naddiyon se aabshaaron se kabhi patthar ke dil ai 'kaif' pighle hain na pighlenge munajaton se fariyaadon se chikhon se pukaron se