sahra mein zarra qatra samundar mein ja mila main khak mein mila to mila tujh ko kya mila tamir dozakhon mein ho shaddad ki bahisht jannat ko chhod aae to gham dusra mila ye to nahin ki khwab mein duniya badal gai bedar jab hue to tasawwur naya mila kya kam hain ab bhi shahr mein be-maghz-o-be-libas sauda tha ek sar mein wo tan se juda mila be-chaargi-o-khwari-o-darmandagi ke bich mahtab hans raha tha gale hum se aa mila ek jast mein to koi na pahuncha kamal tak ek umr sar khapa ke hi jo kuchh mila mila