hum unhen wo hamein bhula baithe do gunahgar zahr kha baithe haal-e-gham kah ke gham badha baithe tir mare the tir kha baithe aandhiyo jao ab karo aaram hum khud apna diya bujha baithe ji to halka hua magar yaro ro ke hum lutf-e-gham ganwa baithe be-sahaaron ka hausla hi kya ghar mein ghabrae dar pe aa baithe jab se bichhde wo muskurae na hum sab ne chheda to lab hila baithe hum rahe mubtala-e-dair-o-haram wo dabe panw dil mein aa baithe uth ke ek bewafa ne de di jaan rah gae sare ba-wafa baithe hashr ka din abhi hai dur 'khumar' aap kyun zahidon mein ja baithe