hum us ka naqsh-e-pa bhule hue hain khuda-wanda ye kya bhule hue hain chalo phir laut jaen us taraf ko jidhar ka rasta bhule hue hain use sochen to yaad aata hai hum ko ki hum to muddaa bhule hue hain ghire hain tangnaon mein kuchh aise samundar ki hawa bhule hue hain ye sahil par zarur utrenge ek din parinde rasta bhule hue hain qasam hum ko ata shirin-labon ki bayan ka zaiqa bhule hue hain