hum utthe to kya raunaq-e-mai-khana wahi hai saqi wahi baada wahi paimana wahi hai farzana jise kahte ho diwana wahi hai diwana jise samjhe ho farzana wahi hai husn aur mohabbat ka hai mauzua purana unwan badalte rahe afsana wahi hai is husn-e-jahan-tab pe marte hain hazaron dekho jise is husn ka parwana wahi hai dil de koi jaan de koi izzat koi daulat jo husn ko maqbul ho nazrana wahi hai jo kul mein hai wo juz mein hai jo juz hai wahi kul aaine ke tukdon mein pari-khana wahi hai jis dil mein khuda rahta tha tum aan base ho kaba jo tha kal aaj sanam-khana wahi hai din-raat jo aankhon se bahe pani hai pani jo dukh mein kisi ke bahe durdana wahi hai chatka bhi to dil ki tarah aawaz na ubhri jo khak se meri bana paimana wahi hai rahat mein to mabud ka sab karte hain sajda han dukh mein kare yaad to shukrana wahi hai kya baat hai gulshan ki 'faza' kyon nahin badli sayyaad wahi dam wahi dana wahi hai