hum wo majbur ki hijrat bhi nahin kar sakte yani aazadi ki chahat bhi nahin kar sakte apne kabe pe to qabza hai azazilon ka hum to ab khul ke ibaadat bhi nahin kar sakte turkiya mast-e-mai-e-nab arab mast-e-maash ab to wo meri himayat bhi nahin kar sakte qatilo thahro zara ek to sajda kar lun kya zara si ye riayat bhi nahin kar sakte jo bhi tha sab to luta dala hai hazrat ab kya aap ab aur sakhawat bhi nahin kar sakte nam rakkha hai musalmanon sa mar jao ki tum qaum-e-muslim se baraat bhi nahin kar sakte 'danish-asri’ ne batai thi tumhein kal ki khabar tum to ab us se shikayat bhi nahin kar sakte