ashkon ko apni aankh mein paiham liye hue

ashkon ko apni aankh mein paiham liye hue
hum chal rahe hain jaise sharabi piye hue

kya jaane kya hua hai ki diwana ro pada
laila gai hai dasht se parda kiye hue

ab ke shab-e-firaq ka aalam na pochhiye
mayus ab sahar se hamare diye hue

ye irtiqa hai un ka ki pasti ki ibtida
bainassutur the jo wo ab hashiye hue

ilzam hum pe rakh ke wo utthe chale gae
baithe rahe hum apne labon ko siye hue

ab intizar-e-nama-baran khatm ho chuka
na-paid apne shahr se ab dakiye hue

achchhi zamin mein sher bhi achchhe hue magar
'danish' kamal tang tere qafiye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close